har dar pe apne sar ko jhukae hue hain log
har dar pe apne sar ko jhukā.e hue haiñ log
apnā vaqār ḳhud hī girā.e hue haiñ log
ā.īna ban ke shahr meñ aa.e hue haiñ log
ḳhanjar bhī āstīñ meñ chhupā.e hue haiñ log
pūchho na apne shahr kī tahzīb kā chalan
izzat kisī tarah se bachā.e hue haiñ log
ik jashn-e-inqalāb manāne ke vāste
maqtal har ek ghar ko banā.e hue haiñ log
dil meñ kudūrateñ haiñ magar dekhiye janāb
ik dūsre se haath milā.e hue haiñ log
aatā nahīñ zabāñ pe kabhī un ke us kā naam
kyā jaane dil meñ kis ko basā.e hue haiñ log
sahrā-navard koī nahīñ hai 'qamar-ra.īs’
vīrān shahr-e-gul ko banā.e hue haiñ log
har dar pe apne sar ko jhukae hue hain log
apna waqar KHud hi girae hue hain log
aaina ban ke shahr mein aae hue hain log
KHanjar bhi aastin mein chhupae hue hain log
puchho na apne shahr ki tahzib ka chalan
izzat kisi tarah se bachae hue hain log
ek jashn-e-inqalab manane ke waste
maqtal har ek ghar ko banae hue hain log
dil mein kuduraten hain magar dekhiye janab
ek dusre se hath milae hue hain log
aata nahin zaban pe kabhi un ke us ka nam
kya jaane dil mein kis ko basae hue hain log
sahra-naward koi nahin hai 'qamar-rais’
viran shahr-e-gul ko banae hue hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.