har dard ke har gham ke talabgar hamin hain
har dard ke har ġham ke talabgār hamīñ haiñ
is jins-e-girāmī ke ḳharīdār hamīñ haiñ
duniyā meñ jafāoñ ke sazā-vār hamīñ haiñ
'mumtāz' ba-har-hāl gunahgār hamīñ haiñ
jo 'ishq meñ guzrī hai so guzrī hai hamīñ par
āvāra-o-rusvā sar-e-bāzār hamīñ haiñ
ab kaun kare roz na.ī un se shikāyat
achchhā chalo taslīm jafā-kār hamīñ haiñ
'mumtāz' jo nāzāñ haiñ bahut tishna-labī par
kah de koī saaqī se vo mai-ḳhvār hamīñ haiñ
har dard ke har gham ke talabgar hamin hain
is jins-e-girami ke KHaridar hamin hain
duniya mein jafaon ke saza-war hamin hain
'mumtaz' ba-har-haal gunahgar hamin hain
jo 'ishq mein guzri hai so guzri hai hamin par
aawara-o-ruswa sar-e-bazar hamin hain
ab kaun kare roz nai un se shikayat
achchha chalo taslim jafa-kar hamin hain
'mumtaz' jo nazan hain bahut tishna-labi par
kah de koi saqi se wo mai-KHwar hamin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.