har dard ko mazi ki qasam bhul gae hain
har dard ko maazī kī qasam bhuul ga.e haiñ
ham terī ḳhushī ke liye ġham bhuul ga.e haiñ
phir ai sitam-ījād koī taaza sitam kar
ab ham tirā andāz-e-karam bhuul ga.e haiñ
jis roz se ham aa.e haiñ maiḳhāne meñ saaqī
us din se rah-e-dair-o-haram bhuul ga.e haiñ
nā-vāqif-e-ādāb-e-vafā aap haiñ lekin
ilzām ye ham par hai ki ham bhuul ga.e haiñ
ilzām kise deñ ki ye qismat kā likhā thā
'dānish' jo hameñ ahl-e-karam bhuul ga.e haiñ
har dard ko mazi ki qasam bhul gae hain
hum teri KHushi ke liye gham bhul gae hain
phir ai sitam-ijad koi taza sitam kar
ab hum tera andaz-e-karam bhul gae hain
jis roz se hum aae hain maiKHane mein saqi
us din se rah-e-dair-o-haram bhul gae hain
na-waqif-e-adab-e-wafa aap hain lekin
ilzam ye hum par hai ki hum bhul gae hain
ilzam kise den ki ye qismat ka likha tha
'danish' jo hamein ahl-e-karam bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.