har dil se numayan hain aasar mohabbat ke
har dil se numayan hain aasar mohabbat ke
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
har dil se numāyāñ haiñ āsār mohabbat ke
mushtāq haiñ ā.īne lākhoñ tirī sūrat ke
mustaġhnī-e-duniyā haiñ muhtāj ināyat ke
hashmat ke nahīñ tālib ḳhvāhāñ nahīñ izzat ke
shamshīr-e-taġhāful se dil ke na karo TukḌe
khul jā.eñge duniyā par asrār mohabbat ke
dekhī na ga.ī ahl-e-isyāñ kī pareshānī
qurbān tarahhum ke sadqe tirī rahmat ke
ik qissa-e-pārīna hai qais kā afsāna
dhuñdle na hoñ kyoñ zarre sahrā-e-mohabbat ke
ālām-o-masā.ib haiñ monis shab-e-tanhā.ī
mamnūn hoñ ham kahiye kis kis kī ināyat ke
nairangī-e-ulfat ne Daalā hai kashākash meñ
jiite haiñ na marte haiñ bīmār mohabbat ke
yūsuf kī zuleḳhā par kyā ḳhaak nazar paḌtī
the dīda-e-bīnā meñ jalve tirī qudrat ke
iz.hār-e-taġhāful bhī ḳhvāhān-e-adab niklā
karnā thā gila ham ko parde meñ mohabbat ke
pahlū nazar aate haiñ ye turfa-tamāshā hai
iqrār-e-mohabbat meñ inkār-e-mohabbat ke
vo aa.e jo turbat par to hashr bapā hogā
ā.eñge nazar ham ko āsār qayāmat ke
'mas.ūd' hasīnoñ ko dil meñ na jagah denā
kuchh der nahīñ lagtī aane meñ tabī.at ke
har dil se numayan hain aasar mohabbat ke
mushtaq hain aaine lakhon teri surat ke
mustaghni-e-duniya hain muhtaj inayat ke
hashmat ke nahin talib KHwahan nahin izzat ke
shamshir-e-taghaful se dil ke na karo TukDe
khul jaenge duniya par asrar mohabbat ke
dekhi na gai ahl-e-isyan ki pareshani
qurban tarahhum ke sadqe teri rahmat ke
ek qissa-e-parina hai qais ka afsana
dhundle na hon kyon zarre sahra-e-mohabbat ke
aalam-o-masaib hain monis shab-e-tanhai
mamnun hon hum kahiye kis kis ki inayat ke
nairangi-e-ulfat ne Dala hai kashakash mein
jite hain na marte hain bimar mohabbat ke
yusuf ki zuleKHa par kya KHak nazar paDti
the dida-e-bina mein jalwe teri qudrat ke
izhaar-e-taghaful bhi KHwahan-e-adab nikla
karna tha gila hum ko parde mein mohabbat ke
pahlu nazar aate hain ye turfa-tamasha hai
iqrar-e-mohabbat mein inkar-e-mohabbat ke
wo aae jo turbat par to hashr bapa hoga
aaenge nazar hum ko aasar qayamat ke
'masud' hasinon ko dil mein na jagah dena
kuchh der nahin lagti aane mein tabiat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.