har ek abr ke TukDe ko baal-o-par dega
har ek abr ke TukḌe ko bāl-o-par degā
shajar shajar ko ye mausam nayā samar degā
vo merī qabr pe ik musht-e-ḳhāk de aaya
jise thā da.avā ke māñgūñ to bahr-o-bar degā
nihāl-e-dard ko ashkoñ se sīñchte rahnā
ġhamoñ kī dhuup meñ saaya yahī shajar degā
pata shu.ūr kī tah meñ chhupe sadaf kā hameñ
hamārī zaat meñ bantā huā bhañvar degā
ḳhayāl-o-fikr ko terī na.ī qabā 'ahmar'
ye harf-o-saut nahīñ bas tirā hunar degā
har ek abr ke TukDe ko baal-o-par dega
shajar shajar ko ye mausam naya samar dega
wo meri qabr pe ek musht-e-KHak de aaya
jise tha dawa ke mangun to bahr-o-bar dega
nihaal-e-dard ko ashkon se sinchte rahna
ghamon ki dhup mein saya yahi shajar dega
pata shuur ki tah mein chhupe sadaf ka hamein
hamari zat mein banta hua bhanwar dega
KHayal-o-fikr ko teri nai qaba 'ahmar'
ye harf-o-saut nahin bas tera hunar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.