har ek ajnabi ban kar nikal gaya yaro
har ek ajnabī ban kar nikal gayā yaaro
hamārā shahr bhī kitnā badal gayā yaaro
vo aadmī jo zamāna badal gayā yaaro
hisār-e-vaqt se aage nikal gayā yaaro
maiñ ek qatra huuñ merī bisāt hī kyā hai
qarīb-e-shām to sūraj pighal gayā yaaro
kabhī jo aag ke dariyā ko phāñd jaatā thā
vo aaj apne charāġhoñ se jal gayā yaaro
kisī kī bazm meñ merā payām ai 'nāshir'
havā ke dosh pe ban kar ġhazal gayā yaaro
har ek ajnabi ban kar nikal gaya yaro
hamara shahr bhi kitna badal gaya yaro
wo aadmi jo zamana badal gaya yaro
hisar-e-waqt se aage nikal gaya yaro
main ek qatra hun meri bisat hi kya hai
qarib-e-sham to suraj pighal gaya yaro
kabhi jo aag ke dariya ko phand jata tha
wo aaj apne charaghon se jal gaya yaro
kisi ki bazm mein mera payam ai 'nashir'
hawa ke dosh pe ban kar ghazal gaya yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.