har ek baghban abas fikrmand hai
har ek bāġhbān 'abas fikrmand hai
bijlī ko sirf merā nasheman pasand hai
mere sukūt kā nahīñ samjhe vo raaz kyā
kyoñ hausla jafāoñ kā un kī buland hai
maiñ ne bhī fikr kī hai kab iz.hār-e-dard kī
kyā un ko ho ḳhabar ki koī dardmand hai
mere hī dam se mahfil-e-sāqī kā hai faroġh
mere hī vāste dar-e-mai-ḳhāna band hai
har ik qadam pe hausla-e-zabt-e-ġham baḌhā
merī vafā jafāoñ kī ehsānmand hai
kah deñ jo 'aql-mand to dīvāna jāniye
dīvāna jis ko vo kaheñ vo 'aql-mand hai
duniyā se be-niyāz guzartā huuñ maiñ magar
us kī nigāh mere junūñ ko kamand hai
faiz us ke husn kā hai 'ajab ye na pūchhiye
mahtāb mere qasr-e-tasavvur meñ band hai
'salmān' un se mil ke ye pūchheñge ham zarūr
kyā aap ko ye dil kā taḌapnā pasand hai
har ek baghban 'abas fikrmand hai
bijli ko sirf mera nasheman pasand hai
mere sukut ka nahin samjhe wo raaz kya
kyon hausla jafaon ka un ki buland hai
main ne bhi fikr ki hai kab izhaar-e-dard ki
kya un ko ho KHabar ki koi dardmand hai
mere hi dam se mahfil-e-saqi ka hai farogh
mere hi waste dar-e-mai-KHana band hai
har ek qadam pe hausla-e-zabt-e-gham baDha
meri wafa jafaon ki ehsanmand hai
kah den jo 'aql-mand to diwana jaaniye
diwana jis ko wo kahen wo 'aql-mand hai
duniya se be-niyaz guzarta hun main magar
us ki nigah mere junun ko kamand hai
faiz us ke husn ka hai 'ajab ye na puchhiye
mahtab mere qasr-e-tasawwur mein band hai
'salman' un se mil ke ye puchhenge hum zarur
kya aap ko ye dil ka taDapna pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.