har ek chehra yahan dard ki kitab lage
har ek chehra yahāñ dard kī kitāb lage
tumhārā shahr to ik shahr-e-iztirāb lage
ye kor-chashmī hai yā jalte sūrajoñ kā asar
koī bhī shakl na ab bint-e-māhtāb lage
na jaane kyoñ mirā lahja hai saḳht saḳht itnā
ki iltimās kā andāz bhī ‘itāb lage
ye bāñjh bāñjh se bādal ye ret ret zamīñ
babūl kī ye jagah hai kahāñ gulāb lage
har ek samt dhuāñ sā hai nā-umīdī kā
har ek manzil-e-ummīd ab sarāb lage
ye kis maqām pe le aa.ī āgahī mujh ko
na sang sang lage aur na aab aab lage
na vo hī vo hai na maiñ maiñ na tum hī tum badnām
sabhī ke chehre pe haiñ saikḌoñ naqāb lage
har ek chehra yahan dard ki kitab lage
tumhaara shahr to ek shahr-e-iztirab lage
ye kor-chashmi hai ya jalte surajon ka asar
koi bhi shakl na ab bint-e-mahtab lage
na jaane kyon mera lahja hai saKHt saKHt itna
ki iltimas ka andaz bhi ‘itab lage
ye banjh banjh se baadal ye ret ret zamin
babul ki ye jagah hai kahan gulab lage
har ek samt dhuan sa hai na-umidi ka
har ek manzil-e-ummid ab sarab lage
ye kis maqam pe le aai aagahi mujh ko
na sang sang lage aur na aab aab lage
na wo hi wo hai na main main na tum hi tum badnam
sabhi ke chehre pe hain saikDon naqab lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.