har ek chehre pe kanda hikayaten dekho
har ek chehre pe kanda hikāyateñ dekho
ḳhulūs dekh chuke ho to nafrateñ dekho
jo ahl-e-dil ho to ehsās-e-āgahī ke liye
bujhī nigāhoñ meñ tahrīr āyateñ dekho
ragoñ meñ kholte ḳhuuñ kī qasam na khaao kabhī
gudāz jismoñ meñ pinhāñ salāhiyateñ dekho
jo ho sake to kabhī taptī shāh-rāhoñ par
Tapakte ḳhuun se likkhī ibārateñ dekho
nafas nafas meñ hai ehsās--yūrish-e-hastī
ḳhud apnī zaat se apnī baġhāvateñ dekho
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī ke bāvajūd 'razā'
guzar rahī haiñ jo andar qayāmateñ dekho
har ek chehre pe kanda hikayaten dekho
KHulus dekh chuke ho to nafraten dekho
jo ahl-e-dil ho to ehsas-e-agahi ke liye
bujhi nigahon mein tahrir aayaten dekho
ragon mein kholte KHun ki qasam na khao kabhi
gudaz jismon mein pinhan salahiyaten dekho
jo ho sake to kabhi tapti shah-rahon par
Tapakte KHun se likkhi ibaraten dekho
nafas nafas mein hai ehsas--yurish-e-hasti
KHud apni zat se apni baghawaten dekho
labon pe mohr-e-KHamoshi ke bawajud 'raza'
guzar rahi hain jo andar qayamaten dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.