har ek chiz ka is tarah kal paDne laga
har ek chiiz kā is tarah kaal paḌne lagā
mirā vatan mire dil kī tarah ujaḌne lagā
jise bigaḌnā na thā vo bhī yuuñ bigaḌne lagā
zamīn phaTne lagī aur daraḳht ukhaḌne lagā
kisī ko rotā huā dekh kar jo royā huuñ
maiñ har nigāh meñ mānind-e-ḳhār gaḌne lagā
jagah jagah se palastar nizām-e-kohna kā
ye bahs kaahe ko hotī hai ab udhaḌne lagā
bahut dinoñ se mire shahr ke har ik ghar se
sadā.eñ aane lagī haiñ ki ghar ujaḌne lagā
havā.eñ tez thiiñ 'iqbāl' aur kyā kartā
yahī kiyā ki havāoñ se maiñ bhī laḌne lagā
har ek chiz ka is tarah kal paDne laga
mera watan mere dil ki tarah ujaDne laga
jise bigaDna na tha wo bhi yun bigaDne laga
zamin phaTne lagi aur daraKHt ukhaDne laga
kisi ko rota hua dekh kar jo roya hun
main har nigah mein manind-e-KHar gaDne laga
jagah jagah se palastar nizam-e-kohna ka
ye bahs kahe ko hoti hai ab udhaDne laga
bahut dinon se mere shahr ke har ek ghar se
sadaen aane lagi hain ki ghar ujaDne laga
hawaen tez thin 'iqbaal' aur kya karta
yahi kiya ki hawaon se main bhi laDne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.