har ek chiz yahan ki sarab hone lagi
har ek chiiz yahāñ kī sarāb hone lagī
chaman kī āb-o-havā ab ḳharāb hone lagī
vo jis ke naam se raushan thī kā.enāt mirī
ab us kī yaad bhī mujh par 'azāb hone lagī
har ek rāsta manzil se duur kartā huā
har ek aarzū ab merī ḳhvāb hone lagī
bikhar rahā ho zamīñ par varaq varaq jis kā
hamārī ziist bhī aisī kitāb hone lagī
phir us pe haath bhī chāroñ taraf se baḌhne lage
kalī jo khilte hue ik gulāb hone lagī
har ek chiz yahan ki sarab hone lagi
chaman ki aab-o-hawa ab KHarab hone lagi
wo jis ke nam se raushan thi kaenat meri
ab us ki yaad bhi mujh par 'azab hone lagi
har ek rasta manzil se dur karta hua
har ek aarzu ab meri KHwab hone lagi
bikhar raha ho zamin par waraq waraq jis ka
hamari zist bhi aisi kitab hone lagi
phir us pe hath bhi chaaron taraf se baDhne lage
kali jo khilte hue ek gulab hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.