har ek dard sanbhaala hai zindagani mein
har ek dard sañbhālā hai zindagānī meñ
jhalak rahā hai buḌhāpā tabhī javānī meñ
mujhe to dhuup se bhī is qadar na ḳhauf aaya
milā hai ḳhauf jo ab terī sā.ebānī meñ
kabhī piyā gayā us ko kabhī bahāyā gayā
koī bhī farq na thā ḳhuun aur paanī meñ
use nazar kī bhalā kaun sī kahūñ manzil
dikhā.ī dene lagā zard rang dhānī meñ
zabāñ-darāz to Thahre magar yahī sach thā
luTā hai shahr ye terī hī pāsbānī meñ
milā na qatra-e-āb-e-baqā samundar se
milī hai maut hameñ shahr-e-jāvedānī meñ
gañvā ke umr jise ham sañbhāl laa.e the
gañvā diyā use ik baat kī ravānī meñ
rukāvaTeñ haiñ ye raste kī ai 'ḳhizar' nādāñ
jinheñ tū manzileñ samjhā hai be-dhiyānī meñ
har ek dard sanbhaala hai zindagani mein
jhalak raha hai buDhapa tabhi jawani mein
mujhe to dhup se bhi is qadar na KHauf aaya
mila hai KHauf jo ab teri saebani mein
kabhi piya gaya us ko kabhi bahaya gaya
koi bhi farq na tha KHun aur pani mein
use nazar ki bhala kaun si kahun manzil
dikhai dene laga zard rang dhani mein
zaban-daraaz to Thahre magar yahi sach tha
luTa hai shahr ye teri hi pasbani mein
mila na qatra-e-ab-e-baqa samundar se
mili hai maut hamein shahr-e-jawedani mein
ganwa ke umr jise hum sanbhaal lae the
ganwa diya use ek baat ki rawani mein
rukawaTen hain ye raste ki ai 'KHizar' nadan
jinhen tu manzilen samjha hai be-dhiyani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.