har ek daur mein haq ke naqib hain hum log
har ek daur meñ haq ke naqīb haiñ ham log
qasam ḳhudā kī baḌe ḳhush-nasīb haiñ ham log
ye aur baat ham us ko rafīq samjhe the
ye aur baat vo samjhā raqīb haiñ ham log
zabān kaaT na le shab kā shahr-yār kahīñ
ḳhatā ye hai ki sahar ke ḳhatīb haiñ ham log
hamāre paas anā lā-zavāl daulat hai
samajh rahā hai zamāna ġharīb haiñ log
hamārā naam shahīdoñ kī saf meñ shāmil hai
farāz-e-dār se itne qarīb haiñ ham log
hamī haiñ sāhib-e-sajjāda-e-qalam 'nāzim'
adab se sar ko jhukāo adiib haiñ ham log
har ek daur mein haq ke naqib hain hum log
qasam KHuda ki baDe KHush-nasib hain hum log
ye aur baat hum us ko rafiq samjhe the
ye aur baat wo samjha raqib hain hum log
zaban kaT na le shab ka shahr-yar kahin
KHata ye hai ki sahar ke KHatib hain hum log
hamare pas ana la-zawal daulat hai
samajh raha hai zamana gharib hain log
hamara nam shahidon ki saf mein shamil hai
faraaz-e-dar se itne qarib hain hum log
hami hain sahib-e-sajjada-e-qalam 'nazim'
adab se sar ko jhukao adib hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.