har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili
har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
har ek daur meñ insāñ kī būd-o-bāsh milī
kisī zamīñ ko bhī khodā to merī laash milī
maiñ man-ghaḌant ḳhudāoñ ko pūjtā hī rahā
mujhe azal se nigāh-e-sanam-tarāsh milī
vo maiñ huuñ tum ho koī aur hai khule kaise
salīb-e-vaqt pe be-sar kī ek laash milī
ham apne apne safar meñ hī gum rahe donoñ
ye aur baat use manzil mujhe talāsh milī
na jaane 'kaif' ye kis aarzū pe zinda hai
hameñ to jab bhī milī zindagī nirāsh milī
har ek daur mein insan ki bud-o-bash mili
kisi zamin ko bhi khoda to meri lash mili
main man-ghaDant KHudaon ko pujta hi raha
mujhe azal se nigah-e-sanam-tarash mili
wo main hun tum ho koi aur hai khule kaise
salib-e-waqt pe be-sar ki ek lash mili
hum apne apne safar mein hi gum rahe donon
ye aur baat use manzil mujhe talash mili
na jaane 'kaif' ye kis aarzu pe zinda hai
hamein to jab bhi mili zindagi nirash mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.