har ek daur mein manzar badalte rahte hain
har ek daur meñ manzar badalte rahte haiñ
hamārī fikr ke mehvar badalte rahte haiñ
harīm-e-jāñ ko munavvar kareñge kyā vo charāġh
ki jin ke taaq barābar badalte rahte haiñ
na hausla thā jinheñ qismateñ badalne kā
vo kam-savād faqat ghar badalte rahte haiñ
tarah tarah ke mile zaḳhm-e-dil to hairat kyā
ki chāra-sāz bhī nashtar badalte rahte haiñ
ajiib shaḳhs mirī zindagī meñ aayā hai
ki jis ke pyaar ke mehvar badalte rahte haiñ
kabhī baqā kā jazīra kabhī fanā-sāhil
safīna ek hai langar badalte rahte haiñ
gireñ daraḳht se patte to kyuuñ ḳhizāñ kahiye
libās hī to haiñ aksar badalte rahte haiñ
hamāre daur meñ aise parind bhī haiñ 'ayāñ'
ki rut ke saath hī vo par badalte rahte haiñ
har ek daur mein manzar badalte rahte hain
hamari fikr ke mehwar badalte rahte hain
harim-e-jaan ko munawwar karenge kya wo charagh
ki jin ke taq barabar badalte rahte hain
na hausla tha jinhen qismaten badalne ka
wo kam-sawad faqat ghar badalte rahte hain
tarah tarah ke mile zaKHm-e-dil to hairat kya
ki chaara-saz bhi nashtar badalte rahte hain
ajib shaKHs meri zindagi mein aaya hai
ki jis ke pyar ke mehwar badalte rahte hain
kabhi baqa ka jazira kabhi fana-sahil
safina ek hai langar badalte rahte hain
giren daraKHt se patte to kyun KHizan kahiye
libas hi to hain aksar badalte rahte hain
hamare daur mein aise parind bhi hain 'ayan'
ki rut ke sath hi wo par badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.