har ek gham ko masarrat mein Dhaalne wala
har ek ġham ko masarrat meñ Dhālne vaalā
kahāñ gayā vo tabassum uchhālne vaalā
ye us ke rashk-o-hasad ḳhud use Dubo.eñge
maregā zahr se ḳhud saañp pālne vaalā
lagā sakā na mire zarf kā vo andāza
ubhar sakā na samundar khañgālne vaalā
bachā sakegā na ḳhud ko zalīl hone se
hamārī zaat pe kīchaḌ uchhālne vaalā
ḳhushī kā lahja kabhī to atā karegā mujhe
jahāñ ke ġham mirī jholī meñ Dālne vaalā
tumhārī bazm-e-tarab meñ 'vaqār' aaya hai
har ek zaḳhm ko sheroñ meñ Dhālne vaalā
har ek gham ko masarrat mein Dhaalne wala
kahan gaya wo tabassum uchhaalne wala
ye us ke rashk-o-hasad KHud use Duboenge
marega zahr se KHud sanp palne wala
laga saka na mere zarf ka wo andaza
ubhar saka na samundar khangalne wala
bacha sakega na KHud ko zalil hone se
hamari zat pe kichaD uchhaalne wala
KHushi ka lahja kabhi to ata karega mujhe
jahan ke gham meri jholi mein Dalne wala
tumhaari bazm-e-tarab mein 'waqar' aaya hai
har ek zaKHm ko sheron mein Dhaalne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.