har ek harf ko hum paemal karte rahe
har ek harf ko ham pā.emāl karte rahe
tamām 'umr tujhī se savāl karte rahe
abhī jo jān-e-rag-e-qalb par lagā hī nahīñ
us ek zaḳhm kā hī indimāl karte rahe
tamām 'umr hī saiqal kiyā hai ā.īna
tamām 'umr yahī ik kamāl karte rahe
jo khoTe sikkoñ pe andhā faqīr kartā hai
vo jashn ham sar-e-dasht-e-malāl karte rahe
unhīñ saroñ pe girī haiñ sabhī shahar kī chhateñ
jo jān-o-dil se unheñ mālā-māl karte rahe
guzārtī thī bahar-hāl qatl-gāhoñ meñ
sipar vafā ko mohabbat ko Dhaal karte rahe
jahāñ pahuñch nahīñ paa.e vahīñ nasheman thā
tamām 'umr ye baazū niDhāl karte rahe
har ek harf ko hum paemal karte rahe
tamam 'umr tujhi se sawal karte rahe
abhi jo jaan-e-rag-e-qalb par laga hi nahin
us ek zaKHm ka hi indimal karte rahe
tamam 'umr hi saiqal kiya hai aaina
tamam 'umr yahi ek kamal karte rahe
jo khoTe sikkon pe andha faqir karta hai
wo jashn hum sar-e-dasht-e-malal karte rahe
unhin saron pe giri hain sabhi shahar ki chhaten
jo jaan-o-dil se unhen mala-mal karte rahe
guzarti thi bahar-haal qatl-gahon mein
sipar wafa ko mohabbat ko Dhaal karte rahe
jahan pahunch nahin pae wahin nasheman tha
tamam 'umr ye bazu niDhaal karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.