har ek ka hami wo musibat mein hua hai
har ek ka hami wo musibat mein hua hai
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
har ek kā haamī vo musībat meñ huā hai
jis kā koī duniyā meñ nahīñ us kā ḳhudā hai
ḳhāmosh huuñ maiñ dekh ke raftār-e-zamāna
hairat sifat-e-dīda-e-naqsh-e-kaf-e-pā hai
achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho
sunte ho jo āvāz vo gumbad kī sadā hai
ik umr huī dekhte nairang-e-zamāna
vo aḳhtar-e-qismat huuñ jo gardish meñ rahā hai
kyoñ ḳhūn-e-jigar khā.iye takmīl-e-hunar meñ
har nāqis-e-fan aaj amīrush-shu'arā hai
achchhā nahīñ hotā kabhī bīmār-e-mohabbat
ulfat vo maraz hai ki ajal jis kī davā hai
behtar hai ki baaz aa sitam-ījād o jafā se
ai charḳh bure kaam kā anjām burā hai
āsāñ nahīñ ai jaan safar mulk-e-adam kā
suntā huuñ ki dushvār bahut rāh-e-fanā hai
raushan hai jahāñ nuur se us parda-nashīñ ke
ḳhurshīd meñ zarra ruḳh-e-raushan kī ziyā hai
arbāb-e-karam phūlte phalte haiñ hamesha
sarsabz nihāl-e-karam-e-ahl-e-saḳhā hai
nāqis ke muāfiq hai ḳhilāf ahl-e-hunar ke
badlī huī 'raushan' ye zamāne kī havā hai
har ek ka hami wo musibat mein hua hai
jis ka koi duniya mein nahin us ka KHuda hai
KHamosh hun main dekh ke raftar-e-zamana
hairat sifat-e-dida-e-naqsh-e-kaf-e-pa hai
achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho
sunte ho jo aawaz wo gumbad ki sada hai
ek umr hui dekhte nairang-e-zamana
wo aKHtar-e-qismat hun jo gardish mein raha hai
kyon KHun-e-jigar khaiye takmil-e-hunar mein
har naqis-e-fan aaj amirush-shu'ara hai
achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat
ulfat wo maraz hai ki ajal jis ki dawa hai
behtar hai ki baz aa sitam-ijad o jafa se
ai charKH bure kaam ka anjam bura hai
aasan nahin ai jaan safar mulk-e-adam ka
sunta hun ki dushwar bahut rah-e-fana hai
raushan hai jahan nur se us parda-nashin ke
KHurshid mein zarra ruKH-e-raushan ki ziya hai
arbab-e-karam phulte phalte hain hamesha
sarsabz nihaal-e-karam-e-ahl-e-saKHa hai
naqis ke muafiq hai KHilaf ahl-e-hunar ke
badli hui 'raushan' ye zamane ki hawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.