har ek ka wo dard-e-jigar bhul gae hain
har ek kā vo dard-e-jigar bhuul ga.e haiñ
kyā apnī nigāhoñ kā asar bhuul ga.e haiñ
allāh re is be-ḳhudī-e-ishq kā aalam
dekhā hai kahīñ un ko magar bhuul ga.e haiñ
siina hai magar ishq ke anvār se ḳhālī
rahrav haiñ magar zād-e-safar bhuul ga.e haiñ
dekho to na.e daur kī āshufta-sarī ko
jo ahl-e-hunar the vo hunar bhuul ga.e haiñ
jab se gul-e-ḳhush-rang kī dekhī hai tabāhī
kaliyoñ ke tabassum kā asar bhuul ga.e haiñ
'shā.ir' dil-e-barbād hai masrūr hamārā
shāyad asar-e-shām-o-sahar bhuul ga.e haiñ
har ek ka wo dard-e-jigar bhul gae hain
kya apni nigahon ka asar bhul gae hain
allah re is be-KHudi-e-ishq ka aalam
dekha hai kahin un ko magar bhul gae hain
sina hai magar ishq ke anwar se KHali
rahraw hain magar zad-e-safar bhul gae hain
dekho to nae daur ki aashufta-sari ko
jo ahl-e-hunar the wo hunar bhul gae hain
jab se gul-e-KHush-rang ki dekhi hai tabahi
kaliyon ke tabassum ka asar bhul gae hain
'shair' dil-e-barbaad hai masrur hamara
shayad asar-e-sham-o-sahar bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.