har ek kaam saliqe se shandar karo
har ek kaam salīqe se shāndār karo
bure amal se bacho nekiyoñ se pyaar karo
chaman kī taaza kalī bhī gulāb ho jaa.e
bahār aane talak kuchh to intizār karo
madad ġharīb kī karnā savāb hai pyāre
aziim kaam hai is ko to baar baar karo
adāvatoñ kī fazā kah rahī hai ro ro kar
vatan kā chehra-e-raushan na dāġh-dār karo
nahīf lāġhar-o-miskīn mustahiq saare
gale lagāo bichāroñ ko ḳhuub pyaar karo
jahāñ se zulm-o-tashaddud miTā ke dam leñge
isī junūn ko a.asāb par savār karo
qadam qadam pe baḌī mushkileñ bhī ā.eñgī
magar jo haq hai vahī raah iḳhtiyār karo
yahī talab tujhe 'tāriq' rahī hamesha se
ki qissa-hā-e-ta'alluq meñ iḳhtisār karo
har ek kaam saliqe se shandar karo
bure amal se bacho nekiyon se pyar karo
chaman ki taza kali bhi gulab ho jae
bahaar aane talak kuchh to intizar karo
madad gharib ki karna sawab hai pyare
azim kaam hai is ko to bar bar karo
adawaton ki faza kah rahi hai ro ro kar
watan ka chehra-e-raushan na dagh-dar karo
nahif laghar-o-miskin mustahiq sare
gale lagao bichaaron ko KHub pyar karo
jahan se zulm-o-tashaddud miTa ke dam lenge
isi junun ko aasab par sawar karo
qadam qadam pe baDi mushkilen bhi aaengi
magar jo haq hai wahi rah iKHtiyar karo
yahi talab tujhe 'tariq' rahi hamesha se
ki qissa-ha-e-ta'alluq mein iKHtisar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.