har ek KHwab mein humne use sajaya bahut
har ek ḳhvāb meñ ham ne use sajāyā bahut
vo yaad aur bhī aaya jise bhulāyā bahut
ye aur baat ki ab yaad aa.e haiñ us ko
vafā ke naam pe jis ne hameñ satāyā bahut
haiñ surḳh-rū mire ash.ār to ta.ajjub kyā
ki ham ne ḳhuun se har lafz ko sajāyā bahut
na jaane kaise ḳhabar ho ga.ī zamāne ko
tumhārī yaad ko āñkhoñ se to chhupāyā bahut
ham intizār meñ jis ke sulagte rahte haiñ
vo jab bhī sāmne aaya to muskurāyā bahut
hamārī āñkhoñ ke kuuze meñ band thā dariyā
ye jī hī jāntā hai kis tarah dabāyā bahut
vo zulf raat kī parchhā.īñ thī magar ai 'raaj
ḳhayāl aaya hai us kā to jagmagāyā bahut
har ek KHwab mein hum ne use sajaya bahut
wo yaad aur bhi aaya jise bhulaya bahut
ye aur baat ki ab yaad aae hain us ko
wafa ke nam pe jis ne hamein sataya bahut
hain surKH-ru mere ashaar to tajjub kya
ki hum ne KHun se har lafz ko sajaya bahut
na jaane kaise KHabar ho gai zamane ko
tumhaari yaad ko aankhon se to chhupaya bahut
hum intizar mein jis ke sulagte rahte hain
wo jab bhi samne aaya to muskuraya bahut
hamari aankhon ke kuze mein band tha dariya
ye ji hi jaanta hai kis tarah dabaya bahut
wo zulf raat ki parchhain thi magar ai 'raj
KHayal aaya hai us ka to jagmagaya bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.