har ek lafz ko shaffaf aaina kar dun
har ek lafz ko shaffāf aa.ina kar duuñ
maiñ tere husn kā manzūm tarjuma kar duuñ
zabān-e-she’r meñ tashbīh isti’āroñ se
ba-har jamāl tujhe ik misāliya kar duuñ
ho she'r she'r meñ tere jamāl kā partav
ġhazal-ġhazal ko tarah-dār silsila kar duuñ
tire laboñ kā qasīda gulāb sun na sakeñ
chaman meñ terī satā.ish ko hādisa kar duuñ
bayāñ agar tirī añgḌā.iyoñ kā vasf karūñ
to shāḳh-e-gul kī nazākat ko vāhima kar duuñ
janam shu'ūr 'amal irtiqā bil-āḳhir maut
bayāñ hayāt kā lamhoñ meñ falsafa kar duuñ
qasam ḳhudā kī agar iḳhtiyār ho 'abrār'
har ik hasīn tasavvur ko vāqi'a kar duuñ
har ek lafz ko shaffaf aaina kar dun
main tere husn ka manzum tarjuma kar dun
zaban-e-she’r mein tashbih isti’aron se
ba-har jamal tujhe ek misaliya kar dun
ho she'r she'r mein tere jamal ka partaw
ghazal-ghazal ko tarah-dar silsila kar dun
tere labon ka qasida gulab sun na saken
chaman mein teri sataish ko hadisa kar dun
bayan agar teri angDaiyon ka wasf karun
to shaKH-e-gul ki nazakat ko wahima kar dun
janam shu'ur 'amal irtiqa bil-aKHir maut
bayan hayat ka lamhon mein falsafa kar dun
qasam KHuda ki agar iKHtiyar ho 'abrar'
har ek hasin tasawwur ko waqi'a kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.