har ek lafz mukammal kitab kar deta
har ek lafz mukammal kitāb kar detā
jise vo chhū ke guzartā gulāb kar detā
maiñ bhīgī aañkh se paḌhtā usī kī tahrīreñ
ḳhudā ke naam agar intisāb kar detā
sunahre ḳhvāb dikhā kar vo būḌhā jādūgar
mujhe bhī chāñd khilātā ḳharāb kar detā
kisī kī yādeñ kināroñ pe chhoḌ aa.e haiñ
vagarna jiinā samundar 'azāb kar detā
bas ek pal ke liye mujh ko raushnī miltī
vo ek pal to mirā kāmyāb kar detā
har ek lafz mukammal kitab kar deta
jise wo chhu ke guzarta gulab kar deta
main bhigi aankh se paDhta usi ki tahriren
KHuda ke nam agar intisab kar deta
sunahre KHwab dikha kar wo buDha jadugar
mujhe bhi chand khilata KHarab kar deta
kisi ki yaaden kinaron pe chhoD aae hain
wagarna jina samundar 'azab kar deta
bas ek pal ke liye mujh ko raushni milti
wo ek pal to mera kaamyab kar deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.