har ek lamha haqiqat bhi aur sapna bhi
har ek lamha haqīqat bhī aur sapnā bhī
baḌā ajiib hai ye zindagī se rishta bhī
guzar gayā vo saroñ se bhī aur ḳhabar na huī
agar vo abr-e-karam thā to phir barastā bhī
ye dekhnā hai ki anjām us kā kyā hogā
jo apne shahr kā qātil bhī thā masīhā bhī
qadam qadam pe milā hai hujūm chehroñ kā
har ek gaam pe har shaḳhs hai akelā bhī
tamām shahr ke patthar sameTne vaalā
kabhī kabhī thā sar-e-rah-guzar tamāsha bhī
sunā hai aisā bhī ik vaqt aane vaalā hai
hamāre saath na hogā hamārā saaya bhī
gilā kiyā na sarāboñ kā 'sāhira' ham ne
ki jaate dekh chuke haiñ qarīb dariyā bhī
har ek lamha haqiqat bhi aur sapna bhi
baDa ajib hai ye zindagi se rishta bhi
guzar gaya wo saron se bhi aur KHabar na hui
agar wo abr-e-karam tha to phir barasta bhi
ye dekhna hai ki anjam us ka kya hoga
jo apne shahr ka qatil bhi tha masiha bhi
qadam qadam pe mila hai hujum chehron ka
har ek gam pe har shaKHs hai akela bhi
tamam shahr ke patthar sameTne wala
kabhi kabhi tha sar-e-rah-guzar tamasha bhi
suna hai aisa bhi ek waqt aane wala hai
hamare sath na hoga hamara saya bhi
gila kiya na sarabon ka 'sahira' hum ne
ki jate dekh chuke hain qarib dariya bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.