har ek masarrat ko farda pe uTha rakkha
har ek masarrat ko fardā pe uThā rakkhā
yuuñ ham ne sadā qatl-e-imroz ravā rakkhā
jugnū the sitāre the kuchh ḳhvāb hamāre the
sab kuchh tumheñ de Daalā apne liye kyā rakkhā
dūkān mohabbat kī jis jis ne sajā.ī thī
gāhak na milā us ko sāmān rahā rakkhā
kyā ḳhuub ye mela hai har shaḳhs akelā hai
ik khelne vaale ne hai khel banā rakkhā
ye zindagī pahle bhī kuchh kam to na thī mushkil
aur is pe qadam rāh-e-ulfat meñ hai jā rakkhā
ye kaisī kahānī thī jo ham ne likhī apnī
āġhāz to achchhā thā anjām burā rakkhā
har ek masarrat ko farda pe uTha rakkha
yun hum ne sada qatl-e-imroz rawa rakkha
jugnu the sitare the kuchh KHwab hamare the
sab kuchh tumhein de Dala apne liye kya rakkha
dukan mohabbat ki jis jis ne sajai thi
gahak na mila us ko saman raha rakkha
kya KHub ye mela hai har shaKHs akela hai
ek khelne wale ne hai khel bana rakkha
ye zindagi pahle bhi kuchh kam to na thi mushkil
aur is pe qadam rah-e-ulfat mein hai ja rakkha
ye kaisi kahani thi jo hum ne likhi apni
aaghaz to achchha tha anjam bura rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.