har ek sans pe yun TuTte bikharte hue
har ek saañs pe yuuñ TūTte bikharte hue
tamām 'umr guzārī hai 'ishq karte hue
abhī bhī yaad hai vo pal jab us ne pahlī baar
nazar milā.ī thī tasvīr se ubharte hue
tamām ruuh pe apne nishān chhoḌ gayā
na jaane kaun mirī zaat se guzarte hue
utar na paayā maiñ āñkhoñ se us ke hoñToñ tak
vo ḳhāmushī thī un āñkhoñ meñ baat karte hue
na rok paa.ī thī mujh ko siyāh-chashmī mirī
maiñ dekhtā rahā bachche ko rang bharte hue
har ik charāġh kī āñkhoñ meñ maiñ ne dekhā hai
zarā zarā sī kisī raushnī ko marte hue
har ek sans pe yun TuTte bikharte hue
tamam 'umr guzari hai 'ishq karte hue
abhi bhi yaad hai wo pal jab us ne pahli bar
nazar milai thi taswir se ubharte hue
tamam ruh pe apne nishan chhoD gaya
na jaane kaun meri zat se guzarte hue
utar na paya main aankhon se us ke honTon tak
wo KHamushi thi un aankhon mein baat karte hue
na rok pai thi mujh ko siyah-chashmi meri
main dekhta raha bachche ko rang bharte hue
har ek charagh ki aankhon mein main ne dekha hai
zara zara si kisi raushni ko marte hue
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 68)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.