har ek samt se uThta hai ab dhuan yaro
har ek samt se uThtā hai ab dhuāñ yaaro
bahār aur mire gulshan meñ ab kahāñ yaaro
har ek phuul mahaktā thā us kī ḳhushbū se
bahār thī kabhī ham par bhī mehrbāñ yaaro
maiñ chāhtā thā ki kuchh apne jī kī baat karūñ
chale ga.e haiñ kahāñ mere rāz-dāñ yaaro
mirī nigāh meñ abr-e-karam to the 'shāhid'
sulag rahā hai magar merā āsmāñ yaaro
ab apnī palkoñ se kāñTe haTāne paḌte haiñ
the rāste kabhī mere bhī gul-fishāñ yaaro
maiñ dil kī baat kisī se bhī kar nahīñ paayā
mujhe milā hī nahīñ koī ham-zabāñ yaaro
kuchh apnī karnī kā hī pā rahe haiñ phal 'shāhid'
rahe haiñ ham ko bhī kyā jaane kyā gumāñ yaaro
har ek samt se uThta hai ab dhuan yaro
bahaar aur mere gulshan mein ab kahan yaro
har ek phul mahakta tha us ki KHushbu se
bahaar thi kabhi hum par bhi mehrban yaro
main chahta tha ki kuchh apne ji ki baat karun
chale gae hain kahan mere raaz-dan yaro
meri nigah mein abr-e-karam to the 'shahid'
sulag raha hai magar mera aasman yaro
ab apni palkon se kanTe haTane paDte hain
the raste kabhi mere bhi gul-fishan yaro
main dil ki baat kisi se bhi kar nahin paya
mujhe mila hi nahin koi ham-zaban yaro
kuchh apni karni ka hi pa rahe hain phal 'shahid'
rahe hain hum ko bhi kya jaane kya guman yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.