har ek sang ko yunhi KHuda nahin karte
har ek sang ko yūñhī ḳhudā nahīñ karte
na ho ḳhulūs to sajde kiyā nahīñ karte
baġhair ġhusl-o-vuzū pākī-o-tahārat ke
namāz-e-ishq ko ham bhī adā nahīñ karte
agar jhukāte haiñ sar ko jo bārgah meñ kabhī
koī numūd dikhāvā riyā nahīñ karte
vo tuur vaale haiñ jā-e-zuhūr se haT kar
har ik maqām pe raushan diyā nahīñ karte
vafā sabāt hai jin ke ḳhamīr meñ shāmil
kisī ke saath meñ hargiz daġhā nahīñ karte
ġhalat hai jaan ke tark-e-shanāvarī karnā
har ek siip meñ motī huā nahīñ karte
maiñ ek ins huuñ aadam kī iqtidā meñ sadā
vo be-hisī ke farishte ḳhatā nahīñ karte
imām-e-vaqt haiñ shīrāza-e-umam ke ḳhilāf
ye muqtadī haiñ jo ḳhud ko qabā nahīñ karte
maiñ DhūñDhtā huuñ har ik samt gauhar-e-nāyāb
ye aur baat hai mujh ko milā nahīñ karte
har ek sang ko yunhi KHuda nahin karte
na ho KHulus to sajde kiya nahin karte
baghair ghusl-o-wuzu paki-o-tahaarat ke
namaz-e-ishq ko hum bhi ada nahin karte
agar jhukate hain sar ko jo bargah mein kabhi
koi numud dikhawa riya nahin karte
wo tur wale hain ja-e-zuhur se haT kar
har ek maqam pe raushan diya nahin karte
wafa sabaat hai jin ke KHamir mein shamil
kisi ke sath mein hargiz dagha nahin karte
ghalat hai jaan ke tark-e-shanawari karna
har ek sip mein moti hua nahin karte
main ek ins hun aadam ki iqtida mein sada
wo be-hisi ke farishte KHata nahin karte
imam-e-waqt hain shiraaza-e-umam ke KHilaf
ye muqtadi hain jo KHud ko qaba nahin karte
main DhunDhta hun har ek samt gauhar-e-nayab
ye aur baat hai mujh ko mila nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.