har ek se bezar wo apne mein magan hai
har ek se bezār vo apne meñ magan hai
shāyad use chehroñ ko parakh lene kā fan hai
hone se na hone ke safar meñ haiñ sabhī gum
hālāñki har ik chehre pe sadiyoñ kī thakan hai
is shahr kī mahdūd mizājī kā asar dekh
go zehn kushāda haiñ diloñ meñ to ghuTan hai
alfāz lab-o-gesū-o-ruḳhsār haiñ us ke
ġhazloñ kī qabāoñ meñ chhupā phūl-badan hai
haañ maiñ ne kabhī ḳhvāb meñ dekhī thī vo duniyā
'farhān' magar ab talak āñkhoñ meñ jalan hai
har ek se bezar wo apne mein magan hai
shayad use chehron ko parakh lene ka fan hai
hone se na hone ke safar mein hain sabhi gum
haalanki har ek chehre pe sadiyon ki thakan hai
is shahr ki mahdud mizaji ka asar dekh
go zehn kushada hain dilon mein to ghuTan hai
alfaz lab-o-gesu-o-ruKHsar hain us ke
ghazlon ki qabaon mein chhupa phul-badan hai
han main ne kabhi KHwab mein dekhi thi wo duniya
'farhan' magar ab talak aankhon mein jalan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.