har ek se rone dhone se ai dida-e-purnam kya hoga
har ek se rone dhone se ai dīda-e-purnam kyā hogā
jo dard diyā hai yāroñ ne vo dard bhalā kam kyā hogā
kuchh zikr na rū-e-tābāñ kā kuchh baat na zulf-e-barham kī
ye ġham kā hamāre afsāna ab itnā bhī mub.ham kyā hogā
phir yaad tirī naġhma ban kar lauTe na matā-e-dard kahīñ
phir ġham kī añdherī rātoñ meñ ab chheḌ ke sargam kyā hogā
tū biite dinoñ kī yaad na kar jis tarah bhī biite biit ga.e
jo din ki ab aane vaale haiñ dekh un kā cham-o-ḳham kyā hogā
rauñde hue phūloñ kī hālat maalī ko bhalā ma.alūm na ho
khilne pe bhī khul kar hans na sake murjhā.e to mātam kyā hogā
ik roz 'zuhūr'-e-mai-kash bhī mahfil se tirī uTh jā.egā
shīrāza-e-mai-ḳhāna lekin saaqī tirā barham kyā hogā
har ek se rone dhone se ai dida-e-purnam kya hoga
jo dard diya hai yaron ne wo dard bhala kam kya hoga
kuchh zikr na ru-e-taban ka kuchh baat na zulf-e-barham ki
ye gham ka hamare afsana ab itna bhi mubham kya hoga
phir yaad teri naghma ban kar lauTe na mata-e-dard kahin
phir gham ki andheri raaton mein ab chheD ke sargam kya hoga
tu bite dinon ki yaad na kar jis tarah bhi bite bit gae
jo din ki ab aane wale hain dekh un ka cham-o-KHam kya hoga
raunde hue phulon ki haalat mali ko bhala malum na ho
khilne pe bhi khul kar hans na sake murjhae to matam kya hoga
ek roz 'zuhur'-e-mai-kash bhi mahfil se teri uTh jaega
shiraaza-e-mai-KHana lekin saqi tera barham kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.