har ek shaKH-e-shajar ki taraf lapakta hua
har ek shāḳh-e-shajar kī taraf lapaktā huā
havā kā jhoñkā idhar aayā thā bhaTaktā huā
kahīñ pe bel thī dīvār se humaktī huī
kisī darīche meñ ik phuul thā chamaktā huā
bichhī thī barf kahīñ duur kohsāroñ par
aur ik alaav thā tasvīr meñ bhaḌaktā huā
khilī thī raat kī raanī kisī havelī meñ
guzar rahā thā galī se koī mahaktā huā
maiñ likh rahā thā ġhazal peḌ kī hathelī par
parinda lauT ke aayā thā jab chahaktā huā
kisī pahāḌ pe dekhā thā sair karte hue
vo laal phuul harī ghaas meñ mahaktā huā
charāġh rakkhā thā 'rāshid' khule darīche meñ
aur ek saaya thā dīvār par saraktā huā
har ek shaKH-e-shajar ki taraf lapakta hua
hawa ka jhonka idhar aaya tha bhaTakta hua
kahin pe bel thi diwar se humakti hui
kisi dariche mein ek phul tha chamakta hua
bichhi thi barf kahin dur kohsaron par
aur ek alaw tha taswir mein bhaDakta hua
khili thi raat ki rani kisi haweli mein
guzar raha tha gali se koi mahakta hua
main likh raha tha ghazal peD ki hatheli par
parinda lauT ke aaya tha jab chahakta hua
kisi pahaD pe dekha tha sair karte hue
wo lal phul hari ghas mein mahakta hua
charagh rakkha tha 'rashid' khule dariche mein
aur ek saya tha diwar par sarakta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.