har ek shai hai mayassar koi kami to nahin
har ek shai hai mayassar koī kamī to nahiñ
mohabbatoñ kī ye bārish kabhī thamī to nahīñ
vo daur-e-habs meñ taaza havā kā jhoñkā hai
tamāzatoñ meñ bhī shāyad koī namī to nahīñ
purāne zaḳhm kurede haiñ is ḳhayāl se bhī
ki gard vaqt kī in par kahīñ jamī to nahīñ
bane javāz bhalā kyā shikasta-pā.ī kā
mirī uḌān-e-taḳhayyul meñ kuchh kamī to nahīñ
har ek shai hai mayassar koi kami to nahin
mohabbaton ki ye barish kabhi thami to nahin
wo daur-e-habs mein taza hawa ka jhonka hai
tamazaton mein bhi shayad koi nami to nahin
purane zaKHm kurede hain is KHayal se bhi
ki gard waqt ki in par kahin jami to nahin
bane jawaz bhala kya shikasta-pai ka
meri uDan-e-taKHayyul mein kuchh kami to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.