har ek shai mein nihan ruh-e-justuju tum ho
har ek shai meñ nihāñ rūh-e-justujū tum ho
hamāre dard bhare dil kī aarzū tum ho
mire junūñ ne garebāñ ko chaak kar ke unheñ
kahā ishāroñ meñ sāmān-e-sad-rafū tum ho
jidhar nigāh ga.ī tum udhar nazar aa.e
tumhāre jalve haiñ har shai meñ chaar sū tum ho
kahegī laakh meñ merī nigāh aalam meñ
zamāne bhar ke hasīnoñ meñ ḳhūb-rū tum ho
chaTak ke kahte haiñ tum se ye ġhuncha-hā-e-chaman
hamārā husn-e-dil-āvez rang-o-bū tum ho
chale ho sāmnā us barq-vash kā karne ko
sañbhal ke honā jo 'manzūr' rū-ba-rū tum ho
har ek shai mein nihan ruh-e-justuju tum ho
hamare dard bhare dil ki aarzu tum ho
mere junun ne gareban ko chaak kar ke unhen
kaha ishaaron mein saman-e-sad-rafu tum ho
jidhar nigah gai tum udhar nazar aae
tumhaare jalwe hain har shai mein chaar su tum ho
kahegi lakh mein meri nigah aalam mein
zamane bhar ke hasinon mein KHub-ru tum ho
chaTak ke kahte hain tum se ye ghuncha-ha-e-chaman
hamara husn-e-dil-awez rang-o-bu tum ho
chale ho samna us barq-wash ka karne ko
sanbhal ke hona jo 'manzur' ru-ba-ru tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.