har ek shaKHs ki pagDi uchhaalne wala
har ek shaḳhs kī pagḌī uchhālne vaalā
zalīl hotā hai zillat meñ Dālne vaalā
use bhī vaqt ne buzdil banā diyā hai jo
thā baat baat pe ḳhanjar nikālne vaalā
kabhī to Dālegā us meñ ḳhushī kā TukḌā bhī
jahāñ ke ġham mirī jholī meñ Dālne vaalā
maiñ aa.ina huuñ mirī shaḳhsiyat hai ā.īna
ye soch le zarā kīchaḌ uchhālne vaalā
har ek lafz batātā hai kaifiyat dil kī
huuñ vārdāt ko sheroñ meñ Dhālne vaalā
zamāna laakh bhī chāhe girā nahīñ saktā
ḳhudā kā lutf hai mujh ko sambhālne vaalā
maiñ apnī bhuuk kā iz.hār kyoñ karūñ 'muḳhtār'
mujhe na bhūlegā duniyā ko pālne vaalā
har ek shaKHs ki pagDi uchhaalne wala
zalil hota hai zillat mein Dalne wala
use bhi waqt ne buzdil bana diya hai jo
tha baat baat pe KHanjar nikalne wala
kabhi to Dalega us mein KHushi ka TukDa bhi
jahan ke gham meri jholi mein Dalne wala
main aaina hun meri shaKHsiyat hai aaina
ye soch le zara kichaD uchhaalne wala
har ek lafz batata hai kaifiyat dil ki
hun wardat ko sheron mein Dhaalne wala
zamana lakh bhi chahe gira nahin sakta
KHuda ka lutf hai mujh ko sambhaalne wala
main apni bhuk ka izhaar kyon karun 'muKHtar'
mujhe na bhulega duniya ko palne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.