har ek shaKHs ko sara hisab dena hai
har ek shaḳhs ko saarā hisāb denā hai
savāl uThne lage to javāb denā hai
ye nashsha tum ko pilānā paḌegā āñkhoñ se
ki jaam bhar ke agarche sharāb denā hai
sitam-shi.ār ko ādāb-e-qatl aate haiñ
abhī nazar kī kaTārī ko aab denā hai
lahūluhān khaḌā sochtā huuñ kāñToñ meñ
ye kaisā shauq hai kis ko gulāb denā hai
badan pighalne tak āġhosh meñ raho merī
zarā sā ḳhud ko nahīñ pech-o-tāb denā hai
yahī sulūk kiyā jā rahā hai barsoñ se
ki un ko shahd hameñ zahr-e-nāb denā hai
bas is nizām ko tabdīl tum karo 'ishrat'
nayā zamāna nayā inqalāb denā hai
har ek shaKHs ko sara hisab dena hai
sawal uThne lage to jawab dena hai
ye nashsha tum ko pilana paDega aankhon se
ki jam bhar ke agarche sharab dena hai
sitam-shiar ko aadab-e-qatl aate hain
abhi nazar ki kaTari ko aab dena hai
lahuluhan khaDa sochta hun kanTon mein
ye kaisa shauq hai kis ko gulab dena hai
badan pighalne tak aaghosh mein raho meri
zara sa KHud ko nahin pech-o-tab dena hai
yahi suluk kiya ja raha hai barson se
ki un ko shahd hamein zahr-e-nab dena hai
bas is nizam ko tabdil tum karo 'ishrat'
naya zamana naya inqalab dena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.