har ek shaKHs shanasa dikhai deta hai
har ek shaḳhs shanāsā dikhā.ī detā hai
ye aa.ine meñ mujhe kyā dikhā.ī detā hai
ye kis maqām pe laa.ī hai aarzū mujh ko
yahāñ to ġhair bhī apnā dikhā.ī detā hai
qarīb jā ke tumhāre bhī lauT aaya huuñ
ki apne dard kā rishta dikhā.ī detā hai
mirī nigāh meñ chubhte haiñ hijr ke kāñTe
jo gul bahār meñ tanhā dikhā.ī detā hai
har ek shaKHs shanasa dikhai deta hai
ye aaine mein mujhe kya dikhai deta hai
ye kis maqam pe lai hai aarzu mujh ko
yahan to ghair bhi apna dikhai deta hai
qarib ja ke tumhaare bhi lauT aaya hun
ki apne dard ka rishta dikhai deta hai
meri nigah mein chubhte hain hijr ke kanTe
jo gul bahaar mein tanha dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.