har ek sher mein dil ka qarar rakh dena
har ek sher meñ dil kā qarār rakh denā
ġhazal meñ apnī suḳhan kā vaqār rakh denā
vo jis ne pyaar se duniyā pe fat.h paa.ī thī
to us ke jaisā hī lahje meñ pyaar rakh denā
bhaTak na jaa.e kahīñ kārvān-e-ahl-e-ḳhirad
koī charāġh sar-e-rahguzār rakh denā
ḳhizāñ ke aane se pahle chaman ke matavālo
guloñ ke ruḳh pe lahū kī phuvār rakh denā
kabhī to yaad karegā zamāna paḌh ke tujhe
varaq varaq pe fasāne hazār rakh denā
koī to baat zamāne ke dil meñ utregī
to sab ke sāmne haq kī pukār rakh denā
yahīñ se qāfila guzregā merī yādoñ kā
yahīñ kahīñ pe mirā intizār rakh denā
dayār-e-dil se guzar jis ghaḌī bhī ho 'dildār'
mile na phuul to ashkoñ ke haar rakh denā
har ek sher mein dil ka qarar rakh dena
ghazal mein apni suKHan ka waqar rakh dena
wo jis ne pyar se duniya pe fath pai thi
to us ke jaisa hi lahje mein pyar rakh dena
bhaTak na jae kahin karwan-e-ahl-e-KHirad
koi charagh sar-e-rahguzar rakh dena
KHizan ke aane se pahle chaman ke matawalo
gulon ke ruKH pe lahu ki phuwar rakh dena
kabhi to yaad karega zamana paDh ke tujhe
waraq waraq pe fasane hazar rakh dena
koi to baat zamane ke dil mein utregi
to sab ke samne haq ki pukar rakh dena
yahin se qafila guzrega meri yaadon ka
yahin kahin pe mera intizar rakh dena
dayar-e-dil se guzar jis ghaDi bhi ho 'dildar'
mile na phul to ashkon ke haar rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.