har ek wade pe un ke yaqin lae hain
har ek va.ade pe un ke yaqīn laa.e haiñ
baḌe ḳhulūs se ham ne fareb khaa.e haiñ
ġhamoñ ko dekhne vaale hamārā zarf bhī dekh
hujūm-e-ġham meñ bhī ham rah ke muskurā.e haiñ
uThā huuñ bazm se un kī to yuuñ huā mahsūs
ki jaise ḳhud vo mire saath saath aa.e haiñ
ho jaise qabze meñ donoñ jahāñ kā sarmāya
ham un ke dard-e-mohabbat ko yuuñ chhupā.e haiñ
sivā.e un ke mujhe kuchh nazar nahīñ aatā
kuchh is tarah vo nazar meñ mirī samā.e haiñ
faroġh-e-mahr-o-mah-o-anjum-o-gul-o-ġhuncha
jamāl-e-yār ke kitne hasīn saa.e haiñ
ham ek zarra-e-ḳhākī meñ phir bhī ai 'mūsā'
farāz-e-tūr se bijlī churā ke laa.e haiñ
har ek wade pe un ke yaqin lae hain
baDe KHulus se hum ne fareb khae hain
ghamon ko dekhne wale hamara zarf bhi dekh
hujum-e-gham mein bhi hum rah ke muskurae hain
uTha hun bazm se un ki to yun hua mahsus
ki jaise KHud wo mere sath sath aae hain
ho jaise qabze mein donon jahan ka sarmaya
hum un ke dard-e-mohabbat ko yun chhupae hain
siwae un ke mujhe kuchh nazar nahin aata
kuchh is tarah wo nazar mein meri samae hain
farogh-e-mahr-o-mah-o-anjum-o-gul-o-ghuncha
jamal-e-yar ke kitne hasin sae hain
hum ek zarra-e-KHaki mein phir bhi ai 'musa'
faraaz-e-tur se bijli chura ke lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.