har ek zist ka lamha bhale nihaal na ho
har ek ziist kā lamha bhale nihāl na ho
koī to duur ho aisā ki jo muhāl na ho
duā ye kar na koī zindagī meñ aisā mile
jo ham-safar to rahe aur ham-ḳhayāl na ho
le itnā raḳht-e-safar ki safar bhī kaT jaa.e
aur is kā bojh tire vāste vabāl na ho
safar meñ itnī hī raftār rakh ki āḳhir-kār
pahuñch ke tū sar-e-manzil kahīñ niDhāl na ho
amal vo kar ki nadāmat na jis pe ho tujh ko
vo baat kah ki tujhe baa'd meñ malāl na ho
ḳhudā maqām agar de to bas vo itnā hī
ki jis ke baa'd muqaddar meñ phir zavāl na ho
har ek zist ka lamha bhale nihaal na ho
koi to dur ho aisa ki jo muhaal na ho
dua ye kar na koi zindagi mein aisa mile
jo ham-safar to rahe aur ham-KHayal na ho
le itna raKHt-e-safar ki safar bhi kaT jae
aur is ka bojh tere waste wabaal na ho
safar mein itni hi raftar rakh ki aaKHir-kar
pahunch ke tu sar-e-manzil kahin niDhaal na ho
amal wo kar ki nadamat na jis pe ho tujh ko
wo baat kah ki tujhe ba'd mein malal na ho
KHuda maqam agar de to bas wo itna hi
ki jis ke ba'd muqaddar mein phir zawal na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.