har falak-bos imarat hai ana ki taswir
har falak-bos imārat hai anā kī tasvīr
aur maiñ TuuT ke girtī huī dīvār meñ huuñ
tum ko tanhā.ī kā ehsās huā kyuuñ āḳhir
maiñ to muddat se tumhāre dar-o-dīvār meñ huuñ
shahr ke shahr pe hai niiñd kā afsūñ taarī
maiñ huuñ ḳhush-baḳht ki ik dīda-e-bedār meñ huuñ
na samundar na ghaTāoñ kī rahīn-e-minnat
bhīgtī apne hī jazbāt kī bauchhār meñ huuñ
zehn aur jism to haiñ kār-e-ziyāñ meñ masrūf
ruuh ke saath maiñ ik hasrat-e-dīdār meñ huuñ
us kī āvāra nigāhī kā gilā kyā 'shahlā'
maiñ to ḳhud apne hī iqrār meñ inkār meñ huuñ
har falak-bos imarat hai ana ki taswir
aur main TuT ke girti hui diwar mein hun
tum ko tanhai ka ehsas hua kyun aaKHir
main to muddat se tumhaare dar-o-diwar mein hun
shahr ke shahr pe hai nind ka afsun tari
main hun KHush-baKHt ki ek dida-e-bedar mein hun
na samundar na ghaTaon ki rahin-e-minnat
bhigti apne hi jazbaat ki bauchhaar mein hun
zehn aur jism to hain kar-e-ziyan mein masruf
ruh ke sath main ek hasrat-e-didar mein hun
us ki aawara nigahi ka gila kya 'shahla'
main to KHud apne hi iqrar mein inkar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.