har gam hadsa hai Thahar jaiye janab
har gaam hādsa hai Thahar jā.iye janāb
rasta agar ho yaad to ghar jā.iye janāb
zinda haqīqatoñ ke talātum haiñ sāmne
ḳhvāboñ kī kashtiyoñ se utar jā.iye janāb
insāf kī salīb huuñ sachchā.iyoñ kā zahr
mujh se mile baġhair guzar jā.iye janāb
din kā safar to kaT gayā sūraj ke saath saath
ab shab kī anjuman meñ bikhar jā.iye janāb
koī churā ke le gayā sadiyoñ kā e'tiqād
mimbar kī sīḌhiyoñ se utar jā.iye janāb
har gam hadsa hai Thahar jaiye janab
rasta agar ho yaad to ghar jaiye janab
zinda haqiqaton ke talatum hain samne
KHwabon ki kashtiyon se utar jaiye janab
insaf ki salib hun sachchaiyon ka zahr
mujh se mile baghair guzar jaiye janab
din ka safar to kaT gaya suraj ke sath sath
ab shab ki anjuman mein bikhar jaiye janab
koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqad
mimbar ki siDhiyon se utar jaiye janab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.