har gam pe hairat ka naya bab khula hai
har gaam pe hairat kā nayā baab khulā hai
ta.abīr pareshān hai kyā ḳhvāb khulā hai
ojhal hue āñkhoñ se to pūchhā na kisī ne
andāz-e-ruḳh-e-pursish-e-ahbāb khulā hai
ham log mohabbat ke ravādār na hote
tāḳhīr se ham par dil-e-betāb khulā hai
hoñToñ pe lagā qufl-e-ḳhamoshī nahīñ TuuTā
sunte haiñ yad-e-mausam-e-ījāb khulā hai
bastī se guzartā hai to bastī nahīñ rahtī
kin āñkhoñ se ye chashma-e-sailāb khulā hai
pahchān ke siine se lagāyā use ham ne
qātil kī tarah chehra-e-girdāb khulā hai
lagtā hai chhalak jā.egā ab jām-e-tamannā
is baar jo paimāna-e-a.asāb khulā hai
jaisā bhī hai vaqt ab na rukeñge 'alī-yāsir'
chalte haiñ ki darvāza-e-mahtāb khulā hai
har gam pe hairat ka naya bab khula hai
tabir pareshan hai kya KHwab khula hai
ojhal hue aankhon se to puchha na kisi ne
andaz-e-ruKH-e-pursish-e-ahbab khula hai
hum log mohabbat ke rawadar na hote
taKHir se hum par dil-e-betab khula hai
honTon pe laga qufl-e-KHamoshi nahin TuTa
sunte hain yad-e-mausam-e-ijab khula hai
basti se guzarta hai to basti nahin rahti
kin aankhon se ye chashma-e-sailab khula hai
pahchan ke sine se lagaya use hum ne
qatil ki tarah chehra-e-girdab khula hai
lagta hai chhalak jaega ab jam-e-tamanna
is bar jo paimana-e-asab khula hai
jaisa bhi hai waqt ab na rukenge 'ali-yasir'
chalte hain ki darwaza-e-mahtab khula hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.