har-gam tasawwur tha tumhaara mere aage
har-gām tasavvur thā tumhārā mire aage
manzil kā bahut saaf thā rasta mire aage
ik hech haqīqat hai ye duniyā mire aage
qatra ye rahā sūrat-e-dariyā mire aage
kyā chiiz hai duniyā kā bharosa mire aage
jab terā sahārā hai sahārā mire aage
andāza mire ġham kā lagā.egā koī kyā
hai merī tamanna kā janāza mire aage
ehsās-e-vajūd-e-ġham-e-dil ko na miTāo
hai bā.is-e-taskīñ ye tamāshā mire aage
dil rah hī gayā TuuT ke ik zarb-e-nazar se
kamzor thā kaisā ye khilaunā mire aage
lo haibat-e-tārīkī-e-shab toḌ chalī dam
aatā hai nazar duur ujālā mire aage
ik umr ke afsāne tumheñ kaise sunā.ūñ
ma.alūm nahīñ vaqt hai kitnā mire aage
dhaḌkan mire dil kī baḌhī jaatī hai sarāpā
phir ishq kā shāyad huā saudā mire aage
mumkin hī nahīñ hai ye 'kalīm' un ko bhulā duuñ
jab hai mire īmāñ kā taqāzā mire aage
har-gam tasawwur tha tumhaara mere aage
manzil ka bahut saf tha rasta mere aage
ek hech haqiqat hai ye duniya mere aage
qatra ye raha surat-e-dariya mere aage
kya chiz hai duniya ka bharosa mere aage
jab tera sahaara hai sahaara mere aage
andaza mere gham ka lagaega koi kya
hai meri tamanna ka janaza mere aage
ehsas-e-wajud-e-gham-e-dil ko na miTao
hai bais-e-taskin ye tamasha mere aage
dil rah hi gaya TuT ke ek zarb-e-nazar se
kamzor tha kaisa ye khilauna mere aage
lo haibat-e-tariki-e-shab toD chali dam
aata hai nazar dur ujala mere aage
ek umr ke afsane tumhein kaise sunaun
malum nahin waqt hai kitna mere aage
dhaDkan mere dil ki baDhi jati hai sarapa
phir ishq ka shayad hua sauda mere aage
mumkin hi nahin hai ye 'kalim' un ko bhula dun
jab hai mere iman ka taqaza mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.