har ghaDi aafiyat har ghaDi shukriya
har ghaḌī āfiyat har ghaḌī shukriya
hāsil-e-zindagī āgahī shukriya
mujh ko mar kar bhī ik zindagī mil ga.ī
dostoñ ko du'ā shā'irī shukriya
ghar kī dīvār bāteñ samajhne lagī
ab zarūrat nahīñ aap kī shukriya
fikr-e-duniyā-o-dīñ ab na uljhā mujhe
āḳhirī darguzar āḳhirī shukriya
dar muqaffal hue chilmaneñ gir ga.iiñ
ek khiḌkī khulī rah ga.ī shukriya
ho chalā hai yaqīñ gulsitāñ hai mirā
phuul ḳhushbū sabā chāñdnī shukriya
DhūñD laayā huuñ 'iqrār' pātāl se
ek qaus-e-quzah raushnī shukriya
har ghaDi aafiyat har ghaDi shukriya
hasil-e-zindagi aagahi shukriya
mujh ko mar kar bhi ek zindagi mil gai
doston ko du'a sha'iri shukriya
ghar ki diwar baaten samajhne lagi
ab zarurat nahin aap ki shukriya
fikr-e-duniya-o-din ab na uljha mujhe
aaKHiri darguzar aaKHiri shukriya
dar muqaffal hue chilmanen gir gain
ek khiDki khuli rah gai shukriya
ho chala hai yaqin gulsitan hai mera
phul KHushbu saba chandni shukriya
DhunD laya hun 'iqrar' patal se
ek qaus-e-quzah raushni shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.