har ghaDi dard ki shiddat se bilakti aankhen
har ghaḌī dard kī shiddat se bilaktī āñkheñ
ātish-e-hijr se har lamha pighaltī āñkheñ
ek lamhe kī mulāqāt huī 'umr kā rog
us kī sūrat ko haiñ har vaqt tarastī āñkheñ
dil-e-betāb meñ ab tak vo machaltī ḳhvāhish
terī ḳhushbū se musalsal ye mahaktī āñkheñ
ḳhvāb meñ Thahrā huā jhiil kā niilā manzar
aur usī jhiil kināre haiñ bhaTaktī āñkheñ
ab to vahshat sī Tapaktī hai har ik manzar se
soz-e-hijrāñ kī tapish se haiñ sulagtī āñkheñ
'ishq nīlām huā 'aam yā nākām huā
rah ga.iiñ ahl-e-vafā kī to barastī āñkheñ
sāmne pā ke use dūsrī jānib taknā
ye haqīqat meñ haiñ 'shāhīn' sañbhaltī āñkheñ
har ghaDi dard ki shiddat se bilakti aankhen
aatish-e-hijr se har lamha pighalti aankhen
ek lamhe ki mulaqat hui 'umr ka rog
us ki surat ko hain har waqt tarasti aankhen
dil-e-betab mein ab tak wo machalti KHwahish
teri KHushbu se musalsal ye mahakti aankhen
KHwab mein Thahra hua jhil ka nila manzar
aur usi jhil kinare hain bhaTakti aankhen
ab to wahshat si Tapakti hai har ek manzar se
soz-e-hijran ki tapish se hain sulagti aankhen
'ishq nilam hua 'am ya nakaam hua
rah gain ahl-e-wafa ki to barasti aankhen
samne pa ke use dusri jaanib takna
ye haqiqat mein hain 'shahin' sanbhalti aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.