har ghaDi Dhahne ka Dar ho jaise
har ghaḌī Dhahne kā Dar ho jaise
dil mirā 'mīr' kā ghar ho jaise
zindagī haa.e ta'āqub terā
āḳhirī bus kā safar ho jaise
dastaras meñ vo nahīñ hai merī
she'r kahne kā hunar ho jaise
phir kaThin aur kaThin aur kaThin
saañs panghaT kī Dagar ho jaise
yuuñ pareshāñ hai tasavvur terā
ḳhuun sargarm-e-safar ho jaise
har ghaDi Dhahne ka Dar ho jaise
dil mera 'mir' ka ghar ho jaise
zindagi hae ta'aqub tera
aaKHiri bus ka safar ho jaise
dastaras mein wo nahin hai meri
she'r kahne ka hunar ho jaise
phir kaThin aur kaThin aur kaThin
sans panghaT ki Dagar ho jaise
yun pareshan hai tasawwur tera
KHun sargarm-e-safar ho jaise
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 68)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.