har ghaDi ek hi jaisa kabhi socha na karo
har ghaḌī ek hī jaisā kabhī sochā na karo
vaqt harjā.ī hai tum is pe bharosā na karo
vo to bādal hai kahīñ jā ke baras jā.egā
is qadar TuuT ke us shaḳhs ko chāhā na karo
ye bhī mumkin hai ki tum haath jalā lo apnā
merī maazī kī kabhī raakh kuredā na karo
laakh apne hoñ kisī pal bhī badal jā.eñge
ret ke mahal pe itnā bhī bharosā na karo
chand kirneñ hī tire vāste kaafī haiñ 'nasīm'
ḳhaak ho jāoge sūraj kī tamannā na karo
har ghaDi ek hi jaisa kabhi socha na karo
waqt harjai hai tum is pe bharosa na karo
wo to baadal hai kahin ja ke baras jaega
is qadar TuT ke us shaKHs ko chaha na karo
ye bhi mumkin hai ki tum hath jala lo apna
meri mazi ki kabhi rakh kureda na karo
lakh apne hon kisi pal bhi badal jaenge
ret ke mahal pe itna bhi bharosa na karo
chand kirnen hi tere waste kafi hain 'nasim'
KHak ho jaoge suraj ki tamanna na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.