har ghaDi hun main pareshan ranj-o-gham mein mubtala
har ghaDi hun main pareshan ranj-o-gham mein mubtala
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
har ghaḌī huuñ maiñ pareshāñ ranj-o-ġham meñ mubtalā
haa.e ye kis bevafā ke huuñ bharam meñ mubtalā
yaar kī tirchhī nazar se ik daf'a jo pī gayā
phir huā na vo kabhī bhī jām-e-jam meñ mubtalā
pā gayā koī use ḳhud ke hī andar jhāñk kar
'umr bhar koī rahā dair-o-haram meñ mubtalā
us kī vo pahlī nazar aur āḳhirī merā safar
kaun hai aisā jo kar de ek dam meñ mubtalā
mil ga.ī hai rahnumā.ī ko shu’ūr-e-āgahī
ho gayā hai jab se 'jauhar' maiñ se ham meñ mubtalā
har ghaDi hun main pareshan ranj-o-gham mein mubtala
hae ye kis bewafa ke hun bharam mein mubtala
yar ki tirchhi nazar se ek daf'a jo pi gaya
phir hua na wo kabhi bhi jam-e-jam mein mubtala
pa gaya koi use KHud ke hi andar jhank kar
'umr bhar koi raha dair-o-haram mein mubtala
us ki wo pahli nazar aur aaKHiri mera safar
kaun hai aisa jo kar de ek dam mein mubtala
mil gai hai rahnumai ko shu’ur-e-agahi
ho gaya hai jab se 'jauhar' main se hum mein mubtala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.