har ghaDi imtihan lete hain
har ghaḌī imtihān lete haiñ
saath dil ke vo jaan lete haiñ
kar guzarte haiñ ek din āḳhir
dil meñ 'āshiq jo Thaan lete haiñ
ik ishāra nazar se hotā hai
jānñe vaale jaan lete haiñ
'aql se kuchh salāh hotī hai
phir kahā dil kā maan lete haiñ
roz kis sādgī se ye gul-rū
bhuul karte haiñ maan lete haiñ
aañkh to ai 'sadā' nahīñ lagtī
yūñhī chādar sī taan lete haiñ
har ghaDi imtihan lete hain
sath dil ke wo jaan lete hain
kar guzarte hain ek din aaKHir
dil mein 'ashiq jo Than lete hain
ek ishaara nazar se hota hai
jaanne wale jaan lete hain
'aql se kuchh salah hoti hai
phir kaha dil ka man lete hain
roz kis sadgi se ye gul-ru
bhul karte hain man lete hain
aankh to ai 'sada' nahin lagti
yunhi chadar si tan lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.