har ghaDi kuchh TuTne ka wahima rah jaega
har ghaḌī kuchh TūTne kā vāhima rah jā.egā
qurbatoñ ke darmiyāñ jab fāsla rah jā.egā
baaġh sahrā meñ badal jā.egā gul kumhlā.eñge
phuul sā khiltā huā chehra tirā rah jā.egā
raunaq-e-getī se ab dil kā lagānā hai abas
ek din sab kuchh yahīñ par hī dharā rah jā.egā
yād-e-qarya meñ kisī shab ḳhud hī aa kar dekh le
ḳhvāb kā āñkhoñ se qaa.em rābta rah jā.egā
shaam se pahle havā-e-zīst barham ho ga.ī
sham-e-jāñ ko ek andesha lagā rah jā.egā
har ghaDi kuchh TuTne ka wahima rah jaega
qurbaton ke darmiyan jab fasla rah jaega
bagh sahra mein badal jaega gul kumhlaenge
phul sa khilta hua chehra tera rah jaega
raunaq-e-geti se ab dil ka lagana hai abas
ek din sab kuchh yahin par hi dhara rah jaega
yaad-e-qarya mein kisi shab KHud hi aa kar dekh le
KHwab ka aankhon se qaem rabta rah jaega
sham se pahle hawa-e-zist barham ho gai
sham-e-jaan ko ek andesha laga rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.